कोरोना से बचाव: घर पर फिल्में देखें। घर में रहें, सुरक्षित रहें। सरकार द्वारा दिए गए सभी दिशानिर्देशों और सावधानियों का जरूर पालन करें। Fight Corona: Watch movies at home. Stay Home, Stay Safe. Must-Follow All the guidelines and precautions advised by the Government.

Ayushmann Khurrana Best Top 10 Movie Dialogue

Ayushmann Khurrana Best Dialogue

Ayushmann Khurrana Best Dialogue

Ayushmann Khurrana Best Dialogue Some of the best dialogues of Ayushmann Khurrana's new and old films. Which will make you feel different. Sometimes you are romantic, sometimes you are passionate.
You must see the Dialogue

Ayushmann Khurrana has done a lot of good films in his career, all the films will be seen mostly on social issues.

Shubh Mangal Zayada Saavdhan(2020)

01. Mard woh nahi hota jise dard nahi hota ... mard woh hota hai joh na kisi ko dard deta hai, na dene deta hai
02. Shaadiyan mahurat se hoti hai ... par pyar ka koi mahurat nahi hota hai ... na rang hota hai ... aur na koi ling hota hai
03. Jack and Johnny went up the hill to live in love and laughter ... Jack ki leli papa ne aur Johnny chup gaya bhaagkar
04. Sab meri shaadi ke peeche aise padhe huye the, jaise India ka GDP meri shaadi pe depend karta hai
05. Roz humein ladai ladni padti hai zindagi mein ... par joh ladai pariwar ke saath hoti hai woh saari ladaiyon mein sabse badi aur khatarnak hoti hai

Bala(2019)

01. Aap mote, kaale, naate, ganje, chahe jaise bhi dikhte ho ... agar aap apne aapse pyar karenge toh duniya bhi aapse pyar karegi
02. Roothi huyi girlfriend lautke aa sakti hai ... gayi huyi sarkar vapas aa sakti hai ... lekin gaye huye baal vapas nahi aate guru


Meri Pyaari Bindu(2017)

01. Pyar karna bahut log sikhate hai ... par afsoos us pyar ko bhulate kaise hai ... yeh saala koi nahi sikhata
02. Zindagi side 'A' se side 'B' ki tarah ghoomti gaano ki reel ki tarah hi toh hai ... kabhi koi gaana itna pasand hai ki khatam hone se dar lagta hai ... kabhi koi gaana poore din honthon se jaane ka naam nahi leta ... aur kabhi koi gaane ke sirf dhun yaad reh jaati hai
03. Kuch gaane aapki zindagi se yoon hi judh jaate hai ... unki dhun mein lipte hote hai chote badhe kisse ... kayi saari yaadein
04. Zindagi se behad pyar tha usse ... aur khud se zindagi se bhi zyada
05. Zindagi ek pighalti hui ice cream ki tartah hai ... taste nahi kiya toh waste ho jayegi
06. Pyar mein itne thokar khane ke bawajood, zakhm pe Iodex malkar veer jawaan hamesha khade ho jaate hai ... ek aur try karne ke liye
07. Jab love ki spelling bhi nahi aati thi ... matlab toh door ki baat thi ... tab se jisse pyar kiya hai aur jab woh haan bol de ... toh jaan bas nikalte nikalte reh jaati thi
08. Matlabi zindagi ki chaal keh lo ya Newton ka law of gravitational attraction ... life mein dhan-te-na toh hona hi tha
09. India ko ek karane mein cricket aur Chitrahaar ko sara credit jaata hai


Bareilly Ki Barfi(2017)

01. Kisi ko tum gusail lagti ho, kisi ko bighdail lagti ho ... tumhari amma mazak mazak mein kehti hai ki raat bhar ghoomti rehti ho toh chudail lagti ho ... kisi ko tumhari baatein atpatti lagti hai, kisi ko behad chatpatti lagti hai ... tumhari kasam humein tumhari har ek baat bahut hi achchi lagti hai
02. Aasaan nahi hai tumse pyar karna ... magar tumse pyar na karna usse bhi zyada mushkil hai


Dream Girl(2019)

01. Duniya mein har koi galat hai ... aur sahi woh hai joh kam galat hai
02. Duniya mein jitni bheed badhti jaa rahi hai ... log utne hi akele hote jaa rahe hai
03. Dil kehta hai unse mil ... dimag kehta hai duty ke baad mil


Bewakoofiyaan(2014)
01. Jeb mein paise ho na ho ... log coffee peena kabhi nahi chhodenge
02. Paise ho na ho ... pyar apna jugaad nikaal hi leta hai
03. If there is love ... toh tees rupaye aur ek cup coffee enough hai happiness ke liye
04. Humayun's Tomb ho ya Taj Mahal ... mera bhi love in monuments ki tarha rock solid rahega centuries and centuries tak
05. Paise nahi toh kya hua ... pyar toh hai unlimited



Vivky Donor(2012)

01. Sperm se thoda upar aakar dekho ... heart naam ki cheez hoti hai
02. Main bhi toh ... kid hi hoon


Other Best Dialogues Click Here

Hawaizaada(2015)
01. Jab main hawai jahaj udaonga na toh uske duk-duk-duk ki awaaz mein shor nahi ... fakht ek awaaz sunai degi ... Vande Mataram!
02. Haathon ki lakeeron ko itni ahmiyat nahi diya karte ... naseeb toh unke bhi hote hai jinke haath nahi hote hai
03. Pyar mein pada aadmi aksar apni aukaat se zyada bada kaam kar jaata hai
04. Us upar waale ne hamare liye sab taykar chhoda hai ... hamare hisse ke badal sirf humpar hi barsenge ... hamare hisse ka suraj sirf humpar hi chamkega ... hamare hisse ka sikka sirf hamare haq mein hi bemandi karega ... yeh sab tay hai ... par maaze ki baat toh yeh hai ki hum mein hi nahi pata hamara badal, hamara suraj, hamara sikka aakhir hai kahan ... issi liye kehta hoon ... hawa ka rukh modhte chal, mutthi mein kirane batoorte chal, sikke uchaalte chal ... bina thakke, bina rukke ... kyun ki sabki udaan tay hai
05. Jab ghee seedhi ungli se na nikle toh ghee chamach se nikaal lo ... kyun ki har jagah ungli nahi ki jaati
06. Jab hum log sach-much hawai jahaz mein behetke udhenge ... toh inki toh patloon agwaade se geeli aur pichwaade se peeli ho jayegi


Nautanki Saala(2013)
01. Good news ke liye timing aur lighting dono perfect chahiye
02. Yeh theater hai theater ... yahan drama nahi chalega
03. Mard agar kutta hai ... toh uski sooch kutte ki dum hai ... change hi nahi hoti


Article 15(2019)
01. Life mein haan ya na ki probability 50-50 ki hoti hai ... aur mujhe lagta hai ki haan wala 50 bahut hota hai


Andhadhun(2018)
01. Kala aadmi ko bahut kuch deti hai ... lekin TDS bhi poora kaat leti hai



Best Dialogue in Bollywood


Ayushman Khurana Dialogue
Spider-man No way home

Post a Comment

0 Comments